Thursday, April 9, 2009

jane kyun?

Kyun roz tum mere khwabon me aati ho,
Kyun tum mujhko itna satati ho,
Kyun ab aisa lagta hai ki jaise meri har khushi tumhi se hai,
Tum bin to ab meri zindagi "nahi" si hai,
Shayad tumhare layak nahi ye jaanta hun main,
Fir bhi ek mauka tumse maangta hun main.

Kyun sab jaankar bhi bhula nahi pata main tumhe,
Kyun is dil me kisi aur ko nahi basa pata hun main,
Kyun is bheed me bhi ek tanhai si hai,
Mere tassabur me bas teri hi muskurahaten chai si hain,
Shayad tum na milo mujhe kabhi ye jaanta hun main,
Fir bhi ek mauka tumse maangta hun main.

Kyun ab mehfilen mujhe raas nahi aati hain,
Kyun tumhari yadein mujhe jhakjhor si jaati hain,
Kyun chahta hun main tumko itna,
Na jaane tum bin kaise guzaarta hun main har lamha,
Shayad tum mujhko kabhi na chahogi ye jaanta hun main,
Fir bhi ek mauka tumse maangta hun main.