Tuesday, March 27, 2012

Kyun hun main?


Ye kis raah chal raha hun main
jo kar raha hun ; kyun kar raha hun main
mere hone ka sabab kya hai
mere na hone se farak kya hai...

Kya main hun kisi ki chahat
ya main hun bas logon ki zaroorat
apno ke anjaanepan me kahin gum gaya hun main
doosron ke khaatir apni zindagi jee gaya hun main...

Mere pareshaan hone se hota hai kya
hota hai wahi jo khuda karta hai manzoor
chal raha hun jis par wo ek raasta hi to hai
yakeen hai pahunchayega mujhe kisi manzil par zaroor...